بسم الله الرحمن الرحيم
:الله تعالى کا فرمان عالیشان ہے
(اے بندو!) تم اپنے رب کی بخشش کی طرف تیز لپکو اور جنت کی طرف (بھی) جس کی چوڑائی (ہی ) آسمان اور زمین کی وسعت جتنی ہے اُن لوگوں کیلے تیار کی گئی ہے جو اللہ تعالی اور اُس کے رسولوں پر ایمان لائے ہیں یہ اللہ تعالیٰ کا فضل ہے جسے وہ چاہتا ہے اسے عطا فرما دیتا ہے اور اللہ تعالیٰ عظیم فضل والا ہے
(پارہ نمبر : 27 صورة الحدید، آیت نمبر: 21)
وضاحت: یہ آیت ہمیں عمل اور ایمان کی اہمیت سکھاتی ہے جو لوگ اللہ تعالیٰ اور اس کے رسولوں پر ایمان لاتے ہیں ان کے لیے اللہ تعالیٰ کی مغفرت اور وسیع جنت تیار ہے ہمیں چاہیے کہ ہم ہر لمحہ اللہ تعالیٰ کی خوشنودی حاصل کرنے اور جنت کے لیے نیک کاموں میں جلدی کریں
Allah Ta‘ala ka farman-e-‘aali shaan hai:
Ay bando Tum apne Rabb ki bakhshish ki taraf tez lapko aur Jannat ki taraf (bhi), jis ki chaurai aasmaan aur zameen ki wus‘at jitni hai. Woh un logon ke liye tayyar ki gayi hai jo Allah Ta‘ala aur us ke Rasoolon par imaan laaye hain. Yeh Allah Ta‘ala ka fazl hai, jise woh chahta hai ata farma deta hai, aur Allah Ta‘ala azeem fazl wala hai.
(Parah number: 27, Surah Al-Hadeed, Aayat number: 21)
Wazahat:
Yeh aayat humein amal aur imaan ki ahmiyat sikhati hai. Jo log Allah Ta‘ala aur us ke Rasoolon par imaan laate hain, un ke liye Allah Ta‘ala ki maghfirat aur wasi‘ Jannat tayyar hai. Humein chahiye ke hum har lamha Allah Ta‘ala ki khushnudi hasil karne aur Jannat ke liye nek kaamon mein jaldi karein.