السلام عليكم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
بسم اللہ الرحمن الرحيم
نجات اور جنت کا آسان نسخه
:حضور خاتم النبيين ﷺ نے ارشاد فرمایا
جو یہ بات پسند کرتا ہے کہ وہ جہنم سے بچا لیا جائے اور جنت میں میں داخل کیا جائے تو اسے چاہیے کہ اس حال میں موت آئے کہ وہ اللہ تعالی اور آخرت کے دن پر ایمان رکھتا ہو اور لوگوں کے ساتھ وہی سلوک کرے جیسا وہ چاہتا ہے کہ لوگ اس کے ساتھ کریں
( صحیح مسلم،حدیث نمبر : 1844)
وضاحت: یہ حدیث ایمان اور اخلاق دونوں کی اہمیت بتاتی ہے جو شخص ایمان پر قائم رہ کر دوسروں سے ویسا سلوک کرے جیسا وہ اپنے لیے چاہتا ہے وہی جنت کا حق دار بنتا ہے ایمان دل کو سنوارتا ہے اور اچھا اخلاق انسان کو جنت کے قریب کر دیتا ہے
Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ ne irshad farmaya:
"Jo yeh baat pasand karta hai ke woh Jahannam se bacha liya jaye aur Jannat mein dakhil kiya jaye, toh usay chahiye ke usay is haal mein maut aaye ke woh Allah Ta'ala aur Akhirat ke din par iman rakhta ho, aur logon ke sath wahi sulook kare jaisa woh chahta hai ke log us ke sath karein."
(Sahih Muslim, Hadees Number: 1844)
Wazahat: Yeh hadees iman aur akhlaq dono ki ahmiyat batati hai. Jo shakhs iman par qaim reh kar doosron se waisa sulook kare jaisa woh apne liye chahta hai, wahi Jannat ka haqdar banta hai. Iman dil ko sanwarta hai aur accha akhlaq insan ko Jannat ke qareeb kar deta hai.