حلال و حرام کا خیال
السلام عليكم ورَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
بسم الله الرحمن الرحيم
:حضور خاتم النبیینﷺ نے ارشاد فرمایا:
حلال بھی واضح ہے اور حرام بھی واضح ہے لیکن ان دونوں کے درمیان کچھ مشتبہ چیزیں ہیں ۔ پس جو شخص ان چیزوں کو چھوڑ دے جن کے گناہ ہونے یا نہ ہونے میں شک ہے، وہ ان گناہوں کو بھی ضرور چھوڑ دے گا جن کا گناہ ہونا واضح ہے۔ لیکن جو شخص مشکوک چیزوں کو کرنے کی جرات کرے گا ، تو قریب ہے کہ وہ ان گناہوں میں بھی مبتلا ہو جائے جو بالکل واضح ہیں۔
وضاحت : ہمیں حلال و حرام کا خیال رکھنا چاہیے اور مشکوک کاموں سے بچنا چاہیے، کیونکہ چھوٹی سی لا پرواہی انسان کو بڑے گناہوں میں مبتلا کر سکتی ہے۔ اپنے دین اور ایمان کی حفاظت کے لیے ہر اس کام سے بچیں جس میں گناہ کا شک ہو ۔
بخاری شریف، حدیث نمبر 2051
Huzoor Khatam-un-Nabiyyeen ﷺ ne irshad farmaya:
"Halal bhi wazeh hai aur haram bhi wazeh hai lekin in dono ke darmiyan kuch mushtabah cheezein hain. Pas jo shakhs un cheezein ko chhod de jin ke gunah hone ya na hone mein shak hai, woh un gunahon ko bhi zaroor chhod dega jin ka gunah hona wazeh hai. Lekin jo shakhs mashkook cheezon ko karne ki jurrat karega, toh qareeb hai ke woh un gunahon mein bhi mubtila ho jaye jo bilkul wazeh hain."
Wazahat: Hamein halal-o-haram ka khayal rakhna chahiye aur mashkook kaamon se bachna chahiye, kyunki choti si laparwahi insan ko bare gunahon mein mubtila kar sakti hai. Apne deen aur iman ki hifazat ke liye har us kaam se bachen jis mein gunah ka shak ho.
(Bukhari Sharif, Hadees Number: 2051)