السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
آج کا سوال:
قربانی کے لیے زیادہ قیمت کا عمدہ جانور خریدنا بہتر ہے یا اتنی ہی قیمت میں کم قیمت والے دو جانور خریدنا ؟
قربانی کے دنوں میں اللہ تعالیٰ کے نزدیک سب سے محبوب عبادت قربانی کے جانوروں کا خون بہانا ہے۔ جتنے زیادہ جانور خلوص نیت کے ساتھ اور ریا کاری سے پاک قربان کیے جائیں گے، اتناہی اللہ تعالیٰ کا قرب نصیب ہوگا اور یہی افضل ہے نبی اکرم ﷺ نے بھی سو اونٹوں کی قربانی فرمائی، جو اس بات کی دلیل ہے کہ زیادہ جانوروں کی قربانی افضل ہے۔ البتہ، یہ بھی ذہن نشین رہے کہ اگر کوئی قربانی کے لیے مہنگا جانور خریدنا چاہے تو اس کے لیے کوئی پابندی نہیں ہے، کیونکہ مہنگا جانور خریدنا بھی جائز ہے۔ تاہم اصل مقصد عبادت کو بہترین طریقے سے ادا کرنے کی نیت ہونی چاہیے، نہ کہ نمود و نمائش یا دکھاوا۔ اگر قربانی محض دکھاوے کے لیے کی جائے تو وہ ثواب سے خالی ہوگی۔
واللہ اعلم ورسولہ اعلم بالصواب
-------------------------------
Aaj ka Sawal:
Qurbani ke liye zyada qeemat ka umdah janwar khareedna behtar hai ya utni hi qeemat mein kam qeemat walay do janwar khareedna?
Jawab:
Qurbani ke dino mein Allah Ta'ala ke nazdeek sabse mehboob ibadat qurbani ke janwaron ka khoon bahaana hai. Is liye jitne zyada janwar ikhlaas ke saath aur riya kaari se paak tor par qurbaan kiye jayein, utna hi Allah Ta'ala ka qurb hasil hota hai – aur yahi behtareen aur afzal tareeqa hai.
Nabi Akram ﷺ ne bhi apne haath se 100 oonton ki qurbani farmayi, jo is baat ki daleel hai ke zyada janwaron ki qurbani afzal hai.
Lekin agar koi shakhs qurbani ke liye ek mehnga aur umdah janwar lena chahe to yeh bhi jaiz hai, aur is par koi pabandi nahi.
Asal maqsad Allah ki raza ke liye ibadat ada karna hona chahiye, na ke numaish, riya kaari ya logon ko dikhawa. Agar qurbani sirf dikhaway ke liye ki jaye, to woh sawab se khaali reh jaati hai.
Wallahu A‘lam wa Rasooluhu A‘lam bis-Sawab.