السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ
حضرت ابو ہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ بیان کرتے ہیں:
ایک آدمی نبی کریم ﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور عرض کیا:
"فلاں شخص رات کو تہجد پڑھتا ہے اور جب صبح ہوتی ہے تو چوری کرتا ہے۔"
آپ ﷺ نے ارشاد فرمایا:
"بے شک عنقریب وہ نماز اسے اس کام (چوری) سے روک دے گی۔"
(مشکوٰۃ المصابیح، حدیث نمبر 1237)
وضاحت: یہ حدیث بتاتی ہے کہ تہجد کی نماز صرف عبادت کا ذریعہ نہیں، بلکہ یہ انسان کے اخلاق اور کردار کی اصلاح کا بھی ایک زبردست وسیلہ ہے۔ جو شخص تہجد پڑھتا ہے اس کی روح اور دل پاکیزگی حاصل کرتے ہیں، اور وہ رفتہ رفتہ برائیوں سے رکنے لگتا ہے۔
Hazrat Abu Hurairah (Razi Allahu Ta'ala Anhu) bayan karte hain:
Ek aadmi Nabi Kareem ﷺ ki khidmat mein haazir hua aur arz kiya:
"Falaan shakhs raat ko Tahajjud parhta hai aur jab subah hoti hai to chori karta hai."
Aap ﷺ ne irshaad farmaya:
"Be-shak qareeb hai ke woh namaz usay is kaam (chori) se rok degi."
(Mishkaat-ul-Masaabeeh, Hadees Number 1237
Wazahat: Yeh hadees batati hai ke Tahajjud ki namaz sirf ibadat ka zariya nahin, balkeh yeh insaan ke ikhlaaq aur kirdaar ki islaah ka bhi zabardast waseela hai. Jo shakhs Tahajjud parhta hai, us ki rooh aur dil pakeezgi haasil karte hain, aur woh rafta rafta buraiyon se rukne lagta hai.