8.00 - 18.00 ادارہ کے اوقات کار: پیر سے ہفتہ

صلح، سکون اور بخشش

صلح، سکون اور بخشش

السلام عليكم

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ

:حضور خاتم النبیینﷺ نے ارشاد فرمایا

پیر اور جمعرات کے دن جنت کے دروازے کھول دیے جاتے ہیں اور ہر اس بندے کی مغفرت کر دی جاتی ہے جو اللہ تعالیٰ کے ساتھ کسی کو شریک نہیں کرتا البتہ اس شخص کی نہیں جس کے دل میں اپنے بھائی کے ساتھ عداوت (دشمنی) ہو۔

پھر کہا جاتا ہے : ان دونوں کو مہلت دو یہاں تک کہ یہ صلح کرلیں (اورجب وہ صلح کر لیں گے تو ان کی بھی بخشش کر دی جائے گی)

مسلم شریف حدیث نمبر 6544

نوٹ: یہ حدیث ہمیں یہ سکھاتی ہے کہ دوسروں کے ساتھ بغض اور دشمنی اللہ تعالیٰ کی رحمت سے محروم کر دیتی ہے۔ اس لیے دل صاف رکھنا اور صلح کر لینا جنت اور بخشش کا سبب ہےـ

-----------------------

Huzoor Khatam-un-Nabiyyeenﷺ ny irshad fermaya:

Peer aur Jumeraat ke din Jannat ke darwaazay khol diye jatay hain aur har us banday ki maghfirat kar di jati hai jo Allah Ta‘ala ke saath kisi ko shareek nahin karta, albata us shakhs ki nahin jis ke dil mein apne bhai ke saath adawat (dushmani) ho.

Phir kaha jata hai: “In dono ko mohlat do yahan tak ke yeh sulah kar len.” (Aur jab woh sulah kar lete hain to un ki bhi bakhshish kar di jati hai).

Muslim Shareef Hadees No. 6544

Note: Yeh hadees humein yeh sikhati hai ke doosron ke saath bughz aur dushmani Allah Ta‘ala ki rehmat se mehroom kar deti hai. Is liye dil saaf rakhna aur sulah kar lena Jannat aur bakhshish ka sabab hai.


مزید پوسٹ: