السلام عليكم ورحمة الله وبركاتة
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
قبر میں عذاب
حضرت ابن عباس رضی اللہ تعالیٰ عنہ فرماتے ہیں:
رسول اللہ ﷺایک مرتبہ مدینہ یا مکہ کے ایک باغ میں تشریف لے گئے۔ (وہاں) آپ ﷺنے دو شخصوں کی آواز سنی جنھیں ان کی قبروں میں عذاب کیا جارہا تھا۔
آپ ﷺ نے فرمایا کہ ان پر عذاب ہو رہا ہے اور کسی بہت بڑے گناہ کی وجہ سے نہیں۔
پھر آپ ﷺ نے فرمایا بات یہ ہے کہ ایک شخص ان میں سے پیشاب کے چھینٹوں سے بچنے کا اہتمام نہیں کرتا تھا اور دوسرا شخص چغل خوری کیا کرتا تھا۔
پھر آپ ﷺ نے (کھجور کی ) ایک ڈالی منگوائی اور اس کو توڑ کر دو ٹکڑے کیا اور ان میں سے (ایک ایک ٹکڑا) ہر ایک کی قبر پر رکھ دیا۔
لوگوں نے آپ ﷺ سے پوچھا کہ یا رسول اللہ ﷺیہ آپﷺ نے کیوں کیا۔
آپ ﷺ نے فرمایا اس لیے کہ جب تک یہ ڈالیاں خشک ہوں شاید اس وقت تک ان پر عذاب کم ہو جائے ۔
بخاری شریف حدیث نمبر216
----------------------------
Hazrat Ibn Abbas (RA) farmatay hain:
Rasool Allah ﷺ ek martaba Madina ya Makka ke ek baagh mein tashreef le gaye. (Wahan) Aap ﷺ ne do shakhson ki awaaz suni jinhain unki qabron mein azaab diya ja raha tha.
Aap ﷺ ne farmaya ke un par azaab ho raha hai, lekin kisi bohat bade gunah ki wajah se nahi.
Phir Aap ﷺ ne farmaya, baat yeh hai ke in mein se ek shakhs peshab ke chhinto se bachne ka ehtemaam nahi karta tha, aur doosra shakhs chughal khori kiya karta tha.
Phir Aap ﷺ ne (khajoor ki) ek daali mangaai aur us ko torh kar do tukray kiye, aur in mein se (ek-ek tukra) har ek ki qabar par rakh diya.
Logon ne Aap ﷺ se poocha ke “Ya Rasool Allah ﷺ, yeh aap ne kyun kiya?”
To Aap ﷺ ne farmaya: “Is liye ke jab tak yeh daaliyan sukhi na hoon, shayad us waqt tak in par azaab kam ho jaye.”
(Bukhari Shareef, Hadees No. 216)