السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
محبت رسولﷺ اور اس کے تقاضے:
نبی کریمﷺ سے محبت ایمانی فریضہ ہے! ہر مومن کے دل میں نبی کریم ﷺ کی محبت یقینی ہوتی ہے اس کے بغیر مسلمان کا ایمان مکمل نہیں ہوسکتا۔ بلکہ قرآن وحدیث سے یہ تعلیم ملتی ہے کہ یہ محبت باقی سب محبتوں پر غالب ہونی چاہیے۔
ایک حدیث میں نبی کریمﷺ نے ارشاد فرمایا :
تم میں سے کوئی ایمان والا نہیں ہو سکتا جب تک کہ میں اس کے نزدیک اس کے والد سے اولاد سے اور دنیا کے تمام انسانوں سے زیادہ محبوب نہ ہو جاؤں۔
بخاری شریف حدیث نمبر 15
اللہ تعالیٰ ہم سب کو نبی کریم ﷺ سے پکی سچی محبت کا جذبہ اطاعت کیسا تھ عطا فرمائے (آمین)
-----------------------------
Mohabbat-e-Rasool aur us ke taqazay:
Nabi Kareem ﷺ se mohabbat emani farz hai! Har momin ke dil mein Nabi Kareem ﷺ ki mohabbat yaqini hoti hai, iske baghair Musalman ka imaan mukammal nahin ho sakta. Balkeh Qur’an o Hadees se yeh taleem milti hai ke yeh mohabbat baqi sab mohabbaton par ghalib honi chahiye.
Ek Hadees mein Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaya:
"Tum mein se koi imaan wala nahin ho sakta jab tak ke main uske nazdeek uske walid se, aulaad se aur duniya ke tamam insaanon se zyada mehboob na ho jaaun."
Bukhari Shareef, Hadees Number 15
Allah Ta'ala hum sab ko Nabi Kareem ﷺ se pakki sacchi mohabbat ka jazba, ita‘at ke saath ata farmaaye (Aameen)