السلام عليكم
بِسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
حضور خاتم النبین ﷺ نے ارشاد فرمایا:
تم میں سے ہر شخص نگران ہے اور تم میں سے ہر ایک سے حساب لیا جائے گا۔ حکمران اپنی رعایا (عوام) کا نگران ہے اور اس سے اس بارے میں حساب لیا جائے گا۔ آدمی اپنے گھر والوں کا نگران ہے اس سے اس بارے میں حساب لیا جائے گا۔ اور غلام اپنے آقا کے مال کے بارے میں نگران ہے اس سے اس بارے میں حساب لیا جائے گا۔ خبردار! تم میں سے ہر ایک شخص نگران ہے اور تم میں سے ہر ایک شخص سے حساب لیا جائے گا۔
صحیح ابن حبان حدیث نمبر 4489
--------------------------------
Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ ne irshaad farmaya:
Tum mein se har shakhs nigraan hai aur tum mein se har ek se hisaab liya jaayega. Hukmaran apni ri'aya (awaam) ka nigraan hai aur us se is baare mein hisaab liya jaayega. Aadmi apne ghar walon ka nigraan hai, us se is baare mein hisaab liya jaayega. Aur ghulaam apne aaqa ke maal ke baare mein nigraan hai, us se is baare mein hisaab liya jaayega.
Khabardaar! Tum mein se har ek shakhs nigraan hai aur tum mein se har ek shakhs se hisaab liya jaayega.
(Saheeh Ibn Hibban, Hadees No. 4489)