السلام عليكم
بسم الله الرحمن الرحيم
:حضور خاتم النبیین ﷺ نے ارشاد فرمایا
لوگو! انسان کو دنیا میں ایمان اور عافیت (یعنی دین، جان، مال اور عزت کی ہر طرح کی حفاظت اور سلامتی) سے بڑھ کر کوئی نعمت نہیں دی گئی اس لیے اللہ تعالیٰ سے ان دونوں چیزوں کی دعا کرتے رہا کرو۔
(مسند احمد بن حنبل ، حدیث نمبر : 38)
وضاحت: نبی کریم ﷺ نے واضح فرمایا کہ ایمان سب سے بڑی نعمت ہے، کیونکہ اسی سے دنیا اور آخرت کی کامیابی وابستہ ہے۔ اور عافیت میں دین، جان، مال اور عزت کی مکمل حفاظت شامل ہے، اس لیے مومن کو ہمیشہ ایمان کی پختگی اور ہر طرح کی عافیت کی دعا کرتے رہنا چاہیے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyeen ﷺ ne irshad farmaya:
Logo! Insaan ko duniya mein imaan aur aafiyat (ya‘ni deen, jaan, maal aur izzat ki har tarah ki hifazat aur salaamti) se barh kar koi ne‘mat nahi di gayi, is liye Allah Ta‘ala se in dono cheezon ki dua karte raha karo.
(Musnad Ahmad bin Hanbal, Hadith number: 38)
Wazahat: Nabi Kareem ﷺ ne wazeh farmaya ke imaan sab se badi ne‘mat hai, kyun ke isi se duniya aur aakhirat ki kamyabi wabasta hai. Aur aafiyat mein deen, jaan, maal aur izzat ki mukammal hifazat shamil hai, is liye momin ko hamesha imaan ki pukhtagi aur har tarah ki aafiyat ki dua karte rehna chahiye.