السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
دین آسان ہے:
حضور خاتم النبیین ﷺ نے ارشاد فرمایا:
بے شک دین آسان ہے، اور جو شخص دین میں سختی اختیار کرے گا دین اس پر غالب آجائے گا ( یعنی وہ اس سختی کو نبھا نہیں سکے گا) لہذا تم اعتدال اور پختگی کے ساتھ عمل کرو، اور جہاں تک ممکن ہو میانہ روی اختیار کرو، اور خوش ہو جاؤ ( کہ یہ طرز عمل تمہیں دنیا و آخرت کی کامیابیاں عطا کرے گا)۔ صبح، دوپہر، شام، اور رات کے کسی حصے میں عبادت کے ذریعے تقویت حاصل کرو۔ (اس سے مراد پنج وقتہ نماز بھی ہو سکتی ہے، کہ انہیں پابندی سے ادا کرو)۔
بخاری شریف حدیث نمبر 39
-------------------------------
Huzoor Khaatam-un-Nabiyeen ﷺ ne irshaad farmaaya:
Beshak deen aasan hai, aur jo shakhs deen mein sakhti ikhtiyaar karega to deen us par ghalib aa jaayega (yaani woh us sakhti ko nibha nahi sakayga), lihaza tum aitidaal aur pukhtagi ke saath amal karo, aur jahan tak mumkin ho miyaana rawi ikhtiyaar karo, aur khush ho jao (ke yeh tarz-e-amal tumhein duniya aur aakhirat ki kamiyabiyaan ata karega). Subah, dopehar, shaam aur raat ke kisi hissa mein ibadat ke zariye taaqat haasil karo. (Is se muraad panj waqtah namaz bhi ho sakti hai, ke unhein pabandi se ada karo).
Bukhari Shareef, Hadees Number 39