السلام عَلَيْكُم ورحمة الله وبركاتة
حضور خاتم النبيین ﷺ سے محبت کرنے کا اجر
حضرت انس بن مالک رضی اللہ تعالیٰ عنہ بیان کرتے ہیں
ایک شخص نے رسول ﷺ سے قیامت کے بارے میں پوچھا کہ قیامت کب قائم ہوگی؟
اس پر آپ ﷺ نے فرمایا:
کہ تم نے قیامت کے لیے تیاری کیا کی ہے؟
انہوں نے عرض کیا کچھ بھی نہیں ، سوائے اس کے کہ میں اللہ اور اس کے رسول ﷺ سے محبت رکھتا ہوں۔
آپ ﷺ نے فرمایا کہ پھر تمہارا حشر بھی انہیں کے ساتھ ہوگا جن سے تمہیں محبت ہے۔
بخاری شریف حدیث نمبر 3688
اللہ عز وجل ہمیں حضور خاتم النبیین ﷺ سے محبت کرنے کے ساتھ ساتھ آپ ﷺ کی سیرت پر بھی عمل کرنے کی توفیق عطا فرماے
----------------------------------
Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ se Muhabbat Karne ka Ajar
Hazrat Anas bin Malik (Razi Allahu Ta'ala Anhu) bayan karte hain:
Ek shakhs ne Rasool ﷺ se qiyamat ke baare mein poocha:
"Qiyamat kab qayam hogi?"
Is par Aap ﷺ ne farmaya:
"Tumne Qiyamat ke liye kya tayari ki hai?"
Usne arz kiya:
"Kuch bhi nahi, siwaaye is ke ke main Allah aur us ke Rasool ﷺ se muhabbat rakhta hoon."
Aap ﷺ ne farmaya:
"Phir tumhara hashr bhi unhi ke saath hoga jin se tum muhabbat karte ho."
(Bukhari Shareef, Hadees No. 3688)
Allah ‘Azza wa Jall humein Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ se muhabbat karne ke saath-saath Aap ﷺ ki seerat par bhi amal karne ki taufeeq ata farmaaye. Aameen.