السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
آج کی نصیحت:
عہد ساز تاریخی دن!
7 ستمبر 1974ء کی شام 4 بج کر 35 منٹ پر نیشنل اسمبلی آف پاکستان نے متفقہ طور پر قادیانیوں کے دونوں فرقوں (ربوی و لاہوری) کو غیر مسلم اقلیت قرار دیا اور آئین پاکستان کی شق (2)106 اور (3) 260 میں اس کا مستقل اندراج کر دیا۔ یادر ہے کہ پارلیمنٹ میں مسلسل کئی روز تک جاری رہنے والی اس طویل بحث اور جرح میں ملک کے تمام طبقات کے چنیدہ افراد اور مقتدر اداروں نے بھر پور حصہ لیا مرزائیوں کو اپنی صفائی پیش کرنے کا پورا موقع دیا گیا، لیکن قادیانی خلیفہ مرزا ناصر نے نہ صرف اپنے تمام کفریہ عقائد و نظریات کا برملا اعتراف کیا بلکہ فضول تاویلات کے ذریعے ان کا دفاع بھی کیا۔5 اور 6 ستمبر کو اٹارنی جنرل جناب یحیی بختیار نے 13 روز کی بحث کو سمیٹتے ہوئے اراکین اسمبلی کو مفصل بریفنگ دی۔ ان کا بیان اس قدر مدلل، جامع اور ایمان افروز تھا کہ کئی آزاد خیال ممبران اسمبلی بھی قادیانیوں کے عقائدسن کر پریشان ہو گئے اور قادیانیوں کے خلاف ووٹ دیا۔
---------------------------------------
Ahd Saaz Tareekhi Din!
7 September 1974 ki shaam 4 baj kar 35 minute par National Assembly of Pakistan ne muttafiqan tor par Qadianiyon ke dono firqon (Rabwi aur Lahori) ko ghair-muslim aqalliyat qarar diya aur Aaeen-e-Pakistan ki shiq (2)106 aur (3)260 mein iska mustaqil indraaj kar diya.
Yaad rahe ke Parliament mein musalsal kai roz tak jaari rehne wali is taweel behas aur jarh mein mulk ke tamaam tabaqat ke chuneeda afraad aur muqtadir idaron ne bharpoor hissa liya. Mirzaiyon ko apni safai pesh karne ka poora moqa diya gaya, lekin Qadiani Khalifa Mirza Nasir ne na sirf apne tamaam kufriya aqaaid o nazaryaat ka baramala aitiraaf kiya balkeh fazool taweelaat ke zariye unka difa‘ bhi kiya.
5 aur 6 September ko Attorney General Janab Yahya Bakhtiyar ne 13 roz ki behas ko samet-te hue arakeen-e-assembly ko mufassal briefing di. Unka bayan is qadar mudallal, jaami‘ aur imaan afroz tha ke kai aazaad khayaal members assembly bhi Qadianiyon ke aqaaid sunkar pareshan ho gaye aur Qadianiyon ke khilaaf vote diya.