السلام عليكم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
:آج کا سوال
بسم الله الرحمن الرحيم
بکرے کے پیدائشی سینگ نہ ہوں تو کیا اس کی قربانی جائز ہے یا نہیں؟
جواب : جس بکرے کے پیدائشی سینگ نہ ہوں، اس کی قربانی بلاشبہ جائز ہے، جبکہ اس میں قربانی کی دیگر شرائط موجود ہوں۔
:فقہ حنفی کی مشہور کتاب الہدایہ میں ہے
جماء کی قربانی جائز ہے اور جماء ایسا جانور کہلاتا ہے، جس کے سینگ نہ ہوں، کیونکہ سینگوں کے ساتھ مقصود کا تعلق نہیں ہوتا۔
اور صدر الشریعہ مفتی محمد امجد علی اعظمی رحمۃ اللہ تعالی علیہ ارشاد فرماتے ہیں: جس کے پیدائشی سینگ نہ ہوں، اس کی قربانی جائز ہے۔
(بہار شریعت جلد نمبر 3)
Aaj ka Sawal:
Bakray ke paidaishi seeng na hon to kya us ki qurbani jaiz hai ya nahi?
Jawab: Jis bakray ke paidaishi seeng na hon, us ki qurbani bilashuba jaiz hai, jabke us mein qurbani ki digar sharait maujood hon.
Fiqh-e-Hanafi ki mashhoor kitab "Al-Hidayah" mein hai: Juma ki qurbani jaiz hai aur Juma aisa janwar kehlata hai, jis ke seeng na hon, kyunke seengon ke sath maqsood (gosht) ka taluq nahi hota.
Aur Sadr-ush-Shariah Mufti Muhammad Amjad Ali Aazmi Rahmatullah Ta'ala Alayh irshad farmate hain: Jis ke paidaishi seeng na hon, us ki qurbani jaiz hai. (Bahar-e-Shariat, Jild Number 3)