8.00 - 18.00 ادارہ کے اوقات کار: پیر سے ہفتہ

حج کی کتنی قسمیں ہیں

حج کی کتنی قسمیں ہیں

السلام عَلَيْكُم

بسم الله الرحمن الرحيم

آج کا سوال: حج کی کتنی قسمیں ہیں؟

حج کی تین قسمیں ہیں: (۱) حج قرآن (۲) حج تمتع (۳) حج افراد

حج قرآن:

یہ سب سے افضل ہے، یہ حج ادا کرنے والا ( قارن ) کہلاتا ہے۔ اس میں عمرہ اور حج کا احرام ایک ساتھ باندھا جاتا ہے مگر عمرہ کرنے کے بعد قارن حلق یا قصر نہیں کرواسکتا بلکہ بدستور احرام میں رہے گا۔ دسویں یا گیارہویں یا بارہویں ذوالحجہ کو قربانی کرنے کے بعد حلق یا قصر کروا کے احرام کھول دے۔

حج تمتع ( تمت تع ):

یہ حج ادا کرنے والا تمتع (م۔ت۔ مت۔ تع ) کہلاتا ہے۔ پاکستان اور ہندوستان سے آنے والے عموما تمتع ہی کیا کرتے ہیں۔ اس میں آسانی یہ ہے کہ اس میں عمرہ تو ہوتا ہی ہے لیکن عمرہ ادا کرنے کے بعد حلق یا قصر کروا کے احرام کھول دیا جاتا ہے اور پھر آٹھ ذوالحجہ یا اس سے قبل حج کا احرام باندھا جاتا ہے۔

حج افراد:

افراد کرنے والے حاجی کو (مفرد) کہتے ہیں۔ اس حج میں عمرہ شامل نہیں ہے۔ اس میں صرف حج کا احرام باندھا جاتا ہے۔ اہل مکہ اور حلی یعنی میقات اور حدود حرم کے درمیان میں رہنے والے باشندے (مثلاً اہلیان جدہ شریف ) حج افراد کرتے ہیں۔ ( دوسرے ملک سے آنے والے بھی افراد کر سکتے ہیں)۔

واللہ اعلم ورسولہ اعلم بالصواب

------------------------------

Aaj ka Sawaal: Haj ki kitni qismein hain?

Haj ki teen qismein hain:
(1) Haj Qiran
(2) Haj Tamattu'
(3) Haj Ifrad

Haj Qiran:

Yeh sabse afzal hai. Is tarah ka Haj ada karne wala "Qaarin" kehlata hai. Is mein Umrah aur Haj ka ihraam ek saath baandha jata hai, magar Umrah karne ke baad Qaarin halaq ya qasr nahi karwa sakta, balki badastoor ihraam mein rahta hai. Daswin, gyarahwin ya baarhwin Zul-Hijjah ko qurbani karne ke baad halaq ya qasr karwa kar ihraam khol deta hai.

Haj Tamattu':

Is tarah ka Haj ada karne wala "Mutamatti'" kehlata hai. Pakistan aur Hindustan se aane wale aam tor par Tamattu' hi karte hain. Is mein aasani yeh hai ke is mein Umrah to hota hi hai, lekin Umrah ada karne ke baad halaq ya qasr karwa kar ihraam khol diya jata hai, aur phir 8 Zul-Hijjah ko ya us se pehle dobara Haj ka ihraam baandha jata hai.

Haj Ifrad:

Is tarah ka Haj ada karne wale ko "Mufrid" kehte hain. Is Haj mein Umrah shamil nahi hota. Is mein sirf Haj ka ihraam baandha jata hai. Ahl-e-Makkah aur Hilli log (yaani jo Miqaat aur Hudood-e-Haram ke darmiyan rehte hain, jaise ke Ahl-e-Jeddah) Haj Ifrad karte hain. (Dusre mulkon se aane wale bhi Ifrad kar sakte hain.)

Wallahu A'lam wa Rasooluhu A'lam bis-Sawab.


مزید پوسٹ: