السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
:حضور خاتم النبیینﷺ نے ارشاد فرمایا
دو نعمتیں ایسی ہیں جن کے بارے میں اکثر لوگ خسارے میں ہیں
صحت اور فراغت ( فارغ ٹائم )
سنن ابن ماجہ حدیث نمبر 4170
یہ حدیث ہمیں بتاتی ہے کہ صحت اور فارغ وقت بہت بڑی نعمتیں ہیں اکثر لوگ ان کی قدر نہیں کرتے اور ضائع کر دیتے ہیں اصل کامیابی یہ ہے کہ ان نعمتوں کو اللہ تعالیٰ اور اس کے رسول ﷺ کی فرمانبرداری میں دین اسلام کا علم حاصل کرنے اور اس کی تبلیغ کرنے میں استعمال کیا جائے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyeenﷺ ne irshaad farmaya:
Do ni’matein aisi hain jin ke baare mein aksar log khsaare mein hain:
Sehat aur Faraghat (farigh time)
Sunan Ibn Majah Hadees No. 4170
Yeh hadees humein batati hai ke sehat aur farigh waqt bohot badi ni’matein hain. Aksar log in ki qadr nahi karte aur zaya kar dete hain. Asal kamiyabi yeh hai ke in ni’maton ko Allah Ta’ala aur us ke Rasool ﷺ ki farmanbardari mein, Deen-e-Islam ka ilm hasil karne aur us ki tableegh karne mein istemal kiya jaye.