السلام عليكم
بسم الله الرحمن الرحيم
:حضور خاتم النبیین ﷺ نے ارشاد فرمایا
اگر مومن کو اللہ تعالیٰ کے پاس موجود سزا کا علم ہو جائے تو کوئی بھی شخص جنت کی امید نہ رکھے، اور اگر کافر کو اللہ تعالیٰ کی رحمت کا علم ہو جائے تو کوئی بھی شخص جنت سے نا امید نہ ہو۔
صحیح ابن حبان ، حدیث نمبر 656
وضاحت: یہ حدیث بتاتی ہے کہ بندے کے دل میں اللہ تعالیٰ کا خوف بھی ہو اور اس کی رحمت کی امید بھی خوف گناہوں سے بچاتا ہے اور امید نیکی کی طرف لے جاتی ہے۔ انسان کی زندگی بہتر اسی وقت بنتی ہے جب وہ ان دونوں باتوں کو ساتھ رکھے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyyeen ﷺ ne irshad farmaya
Agar momin ko Allah Ta‘ala ke paas maujood saza ka ilm ho jaye to koi bhi shakhs jannat ki umeed na rakhe, aur agar kafir ko Allah Ta‘ala ki rehmat ka ilm ho jaye to koi bhi shakhs jannat se na-umeed na ho.
Sahih Ibn-e-Hibban, Hadees number 656
Wazahat: Yeh hadees batati hai ke bande ke dil mein Allah Ta‘ala ka khauf bhi ho aur us ki rehmat ki umeed bhi. Khauf gunahon se bachata hai aur umeed neki ki taraf le jati hai. Insan ki zindagi behtar usi waqt banti hai jab woh in dono baaton ko saath rakhe.