بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
سچائی اور اخلاص مومن کی پہچان
:حضور خاتم النبیین ﷺ نے ارشاد فرمایا:
تم قیامت کے دن اللہ تعالیٰ کے نزدیک اس شخص کو سب سے بدترین پاؤ گے جو ایک قوم کے پاس ایک چہرہ لے کر آتا ہے اور دوسری قوم کے پاس دوسرا چہرہ لے کر جاتا ہے۔
(صحیح بخاری، حدیث 6058)
وضاحت:
دوغلا پن صرف زبان کا فرق نہیں ہوتا، بلکہ یہ دل کی گندگی اور نیت کی خرابی کی علامت ہے۔ ایسا شخص ایک محفل میں مسکرا کر بیٹھتا ہے اور دوسری جگہ جا کر انہی لوگوں کے خلاف باتیں کرتا ہے۔ یہ کردار نہ مومن کا ہے اور نہ کسی شریف انسان کا۔
سچے مومن کی پہچان یہ ہے کہ وہ ہر جگہ ایک جیسا ہوتا ہے—
اس کی بات میں سچائی،
اس کے رویے میں صفائی،
اور اس کی نیت میں اخلاص ہوتا ہے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyyeen ﷺ ne irshaad farmaya:
"Tum Qayamat ke din Allah Ta'ala ke nazdeek us shaks ko sab se badtareen paoge jo ek qaum ke paas aik chehra le kar aata hai aur doosri qaum ke paas doosra chehra le kar jaata hai."
(Sahih Bukhari, Hadees 6058)
Wazahat:
Doghla pan sirf zubaan ka farq nahi hota, balki yeh dil ki gandagi aur niyyat ki kharabi ki alamat hoti hai. Aisa shaks ek mehfil mein muskura kar baithta hai aur doosri jagah jaa kar unhi logon ke khilaaf baatein karta hai. Yeh kirdar na momin ka hai na shareef insaan ka.
Sachay momin ki pehchaan yeh hai ke woh har jagah aik jaisa hota hai—
uski baat mein sachchai,
uske rawaiye mein safai,
aur uski niyyat mein ikhlaas hota hai.