السلام عليكم
بِسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
نجات اور جنت کا آسان نسخہ
:حضور خاتم النبیین ﷺ نے ارشاد فرمایا
جو یہ بات پسند کرتا ہے کہ وہ جہنم سے بچا لیا جائے اور جنت میں داخل کیا جائے تو اسے چاہیے کہ اس حال میں موت آئے کہ وہ اللہ تعالیٰ اور آخرت کے دن پر ایمان رکھتا ہو، اور لوگوں کے ساتھ وہی سلوک کرے جیسا وہ چاہتا ہے کہ لوگ اس کے ساتھ کریں۔
مسلم شریف حدیث نمبر 1844
وضاحت: یہ حدیث ایمان اور اخلاق دونوں کی اہمیت بتاتی ہے جو شخص ایمان پر قائم رہ کر دوسروں سے ویسا سلوک کرے جیسا وہ اپنے لیے چاہتا ہے وہی جنت کا حق دار بنتا ہے۔ ایمان دل کو سنوارتا ہے اور اچھا اخلاق انسان کو جنت کے قریب کر دیتا ہے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyyeen ﷺ ne irshaad farmaaya:
Jo yeh baat pasand karta hai ke woh Jahannum se bacha liya jaaye aur Jannat mein daakhil kiya jaaye, to usay chahiye ke us haal mein maut aaye ke woh Allah Ta'ala aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho, aur logon ke saath waisa hi sulook kare jaisa woh chahta hai ke log uske saath karein.
Muslim Shareef, Hadees No. 1844
Wazaahat:
Yeh hadees imaan aur akhlaaq dono ki ahmiyat bataati hai. Jo shakhs imaan par qaaim reh kar doosron se waisa sulook kare jaisa woh apne liye chahta hai, wahi Jannat ka haqdaar banta hai. Imaan dil ko sanwaarta hai aur acha ikhlaaq insaan ko Jannat ke qareeb kar deta hai.