السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
:حضور خاتم النبیین ﷺ نے ارشاد فرمایا
موت کی تمنا نہ کرو کیونکہ مرنے کے بعد کے حالات کی ہولنا کی بہت سخت ہے اور یہ سعادت کی بات ہے کہ بندے کی عمر دراز ہو جائے اور اللہ عز وجل اسے اپنی طرف رجوع کرنے کی توفیق عطا فرمائے۔
مشکوۃ المصانع حدیث نمبر 1613
وضاحت: یہ حدیث صبر اور نیک اعمال پر استقامت کی تلقین کرتی ہے کیونکہ زندگی کا ہر لحہ تو بہ اور رجوع الی اللہ کا موقع ہے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyyeen ne irshaad farmaya:
Maut ki tamanna na karo kyunke marne ke baad ke halaat ki haulnaaki bohot sakht hai aur ye sa‘adat ki baat hai ke bande ki umar daraaz ho jaye aur Allah ‘Azza wa Jall use apni taraf rujoo karne ki taufeeq ata farmaaye.
Mishkaat-ul-Masabeeh Hadees No. 1613
Wazahat: Ye hadees sabr aur nek a‘maal par isteqamat ki talqeen karti hai kyunke zindagi ka har lamha tauba aur rujoo ilallah ka moqa hai.