السلام عليكم
بِسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
:حضور خاتم النبیینﷺ نے ارشاد فرمایا
اپنی ماں کے ساتھ ، اپنے باپ کے ساتھ، اپنی بہن کے ساتھ ، اپنے بھائی کے ساتھ حسن سلوک کر، ( اور رشتہ داری کے قرب کے مراتب کا لحاظ کرتے ہوئے) جو زیادہ قریبی ہو ، وہ زیادہ حسن سلوک کا مستحق ہے۔
مستدرک الحاکم حدیث نمبر 7245
وضاحت: اس حدیث پاک میں رسول اکرم ﷺ نے ہمیں خاندانی رشتوں میں عدل اور محبت کے ساتھ حسن سلوک کرنے کی تعلیم دی ہے والدین ، بہن بھائی اور قریبی رشتہ دار سب کے حقوق ہیں، اور ان میں قربت کے اعتبار سے فضیلت ہے جو رشتہ جتنا قریب ہے، اس کے ساتھ بھلائی کا حق اتنا ہی زیادہ ہے یہ تعلیم معاشرتی محبت، اتفاق اور خاندان کے استحکام کی ضمانت ہے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ ne irshaad farmaya:
Apni maan ke saath, apne baap ke saath, apni behan ke saath aur apne bhai ke saath achha sulook kar. (Aur rishtedari ke qurb ke maratib ka lehaaz rakh) — jo zyada qareeb ho, woh zyada husn-e-sulook ka mustahiq hai.
Mustadrak al-Haakim, Hadees No. 7245
Wazahat:
Is Hadees-e-Paak mein Rasool-e-Akram ﷺ ne humein khaandani rishton mein adal aur mohabbat ke saath husn-e-sulook karne ki taleem di hai.Waliden, behan bhai aur qareebi rishtedaar sab ke huqooq hain aur in mein qurbat ke aitbaar se fazilat hai. Jo rishta jitna qareeb hai, us ke saath bhalai ka haqq utna hi zyada hai. Yeh taleem muashrati mohabbat, ittefaq aur khandaan ke istehkaam ki zamaanat hai.