السلام عليكم
حضور خاتم النبیینﷺ کی جھوٹ سے نفرت
:ام المؤمنین حضرت عائشہ صدیقہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا فرماتی ہیں
رسول الله ﷺ کے نزدیک جھوٹ سے بڑھ کر کوئی اور عادت نفرت کے قابل نا پسندیدہ نہیں تھی اور جب کوئی آدمی نبی اکرمﷺ کے پاس جھوٹ بولتا تو وہ ہمیشہ آپﷺ کی نظر میں قابل نفرت رہتا یہاں تک کہ آپ جان لیتے کہ اس نے جھوٹ سے تو بہ کر لی ہے۔
ترمذی شریف حدیث نمبر 1973
Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ ki Jhoot Se Nafrat
Umm-ul-Momineen Hazrat Ayesha Siddiqah (Razi Allahu Ta'ala Anha) farmati hain:
Rasool Allah ﷺ ke nazdeek jhoot se barh kar koi aur aadat nafrat ke qabil aur na-pasandeeda nahi thi. Aur jab koi aadmi Nabi-e-Akram ﷺ ke paas jhoot bolta to woh hamesha aap ki nazar mein qabil-e-nafrat rehta,
yahaan tak ke aap jaan lete ke us ne jhoot se tauba kar li hai.
Tirmizi Shareef Hadees Number 1973