السلام عليكم
بِسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
:حضور خاتم النبیینﷺ نے ارشاد فرمایا
بے شک دینِ اسلام بہت آسان ہے اور جو شخص دین میں سختی کرے گا تو دین اس پر غالب آجائے گا اس لیے میانہ روی یعنی اعتدال درمیانی راستہ اختیار کرو اور قریب رہو اور خوش ہو جاؤ صبح دوپہر کے بعد اور کچھ رات میں عبادت کرنے سے مدد حاصل کرو۔
صحیح بخاری حدیث نمبر 39
وضاحت: اس حدیث میں رسول اکرم ﷺ نے ہمیں یہ سبق دیا ہے کہ دین کو مشکل نہ بناؤ بلکہ آسانی اور اعتدال کے ساتھ اس پر عمل کرو جو شخص ضرورت سے زیادہ سختی کرے گا وہ آخر کار تھک جائے گا اسلام توازن اور سہولت کا دین ہے اس لیے عبادت اور نیکی میں حد اعتدال برقرار رکھو تا کہ عمل میں پائیداری اور دل میں سکون قائم رہے۔
Huzoor Khatam-un-Nabiyyeen ﷺ ne irshaad farmaaya:
Beshak deen-e-Islam bohat aasaan hai, aur jo shakhs deen mein sakhti karega to deen us par ghalib aa jaayega. Is liye miyana rawi (ya‘ni aitdaal, darmiyani raasta) ikhtiyaar karo, qareeb raho aur khush ho jao. Subah, dopehar ke baad aur kuch raat mein ibaadat karke madad hasil karo.
Sahih Bukhari, Hadees No. 39
Wazaahat:
Is hadees mein Rasool-e-Akram ﷺ ne humein yeh sabaq diya hai ke deen ko mushkil na banao, balki aasaani aur aitdaal ke saath us par amal karo.
Jo shakhs zarurat se zyada sakhti karega, woh aakhirkaar thak jaayega.
Islam to izin aur sahulat ka deen hai, is liye ibaadat aur neki mein had-e-aitdaal barqaraar rakho taa ke amal mein paayedari aur dil mein sukoon qaaim rahe.